Sunday, October 4, 2009

Sukoon

Khidkiyon ke sheeshe ke paar
Bauchaaron ke beech
Tharrate patton ke galiyaaron mein
Mera koi ehsaas simta baitha hai

Hawa ke rukh se behaal
Raaston kee geeli fislan par ladkhadata
Chal chal kar rukta wo ehsaas
Ab kuch samajh me aaya hai

Kisi yaad ko pakadkar
Kal ke kalpurzon se nikal
Aaj kee safed chaadar odh
Phir koi saamne aayaa hai

Feeki see muskaan shuru hui hai
Hothon se nikal
Aankhon kee palokon se chipak
Us ehsaas se jaa mili hai

Is chhat kee munder par bahot baar aayi hoon
Bikhree hui rahti thi humesha
Aaj ek tinka nahin hai
Wo bhi sukoon mein lagti hai

7 comments:

CRD said...

Waah..."aaj ek tinka bhi nahin hai...woh bhi sukoon mein lagti hai" kya baat kahi hai...


Cheers
CRD

pali tripathi said...

thank yous:)

Anonymous said...

Very very very deeeeeeeeep feelings. nice work. Your Urdu/hindi tukbandi/kavita is now showing new dimensions.

pali tripathi said...

Thank you Anonymous:)

The Environmentalist.... said...

no new post......

waiting waiting waiting

Ashutosh said...

पाली,

हवा के रुख से बेहाल
रास्तों की गीली फिसलन पर लडखडाता
चल चल कर रुकता वो एहसास
अब कुछ समझ में आया है

बहुत खूब ... कही कही आप की लेखनी गुलज़ार के पुराने गानों की याद दिलाता है ... पूरे दिल से लिखे शब्दों का एहसास न सिर्फ लिखने वाले पर बल्कि पढने वाले पर भी उतना ही असर करता है ...

एक सुझाव हिन्दी में लिखने के लिए Google Transliteration -> http://www.google.com/transliterate/indic का प्रयोग कर के देखे...

- आशुतोष

Tourist said...

very beautifully written ...