Wednesday, December 8, 2010

Doghlapan

Tumne kaha

Brashtachaar kee lat hai isko,
Jebon mein noton kaa aafeem hai
Annkhon par satta ka charas
iska na kuch hua hai..na kabhee hone waala hai

Maine kaha

Iska? Kiski baat kar rahe ho tum?
Kisi bhoole bisre dost kee?
Kisi gair kee? Kisi graahak kee?
Bada door ka rishta lagta hai isse tumhara

Tumne kaha

Are tumhare desh kee baat kar raha hoon
Mailapan iska naheen dikhai deta tumhe?
Rengtee hui iskee raftaar naheen kachotti tumhe?
Isiliye to chhod gaya main isko

Maine kaha

Tum to khamakhah gambheer ho baithe
Khair chhodo, suna hai obama bada pasand hai tumhe?
In dinon aayaa hua thaa yahan
Desh ko superpower kah ke gaya hai

Tumne kaha

Haan Obama hastee hee aisee hai
Leader hai-leader.laalu sa chaarebaaz naheen
Chalo ye sab hatao, ek baat bataao
Koi acchee ladkee hai nazar mein tumhare?

Maine kaha

Suna hai amreekee ladkiya patakha hotee hain
Raat mein kaam aur din mein sotee hain?
Koi item naheen pakda tumne wahan ?
Desi ladkiyon mein kya rakha hai?

Tumne kaha

Ghoomne firne ke liye theek hain amreekee
Khaanaa to koi desee hee pakayegee
Baba ne baat chala rakhee hai
Amma to koi ameer grahalaxmee hee laayengee

Maine kaha

Soch kar ke batati hoon, par tum ye batao
Infosys kee naukree kaisi hai?
Suna hai videsh mein bhee uska khaasaa bolbaalaa hai?
Desee hai par mncs ko behaal kar daalaa hai?

Tumne kaha

Sahee sunaa hai tumne, desh mein to kam izzat hai
Par u.s mein kaafee guroor waalee baat hai
Greenfield ke maze hain bhaiya
Desi salary aur visdeshi bonus donon haath hain

Maine kaha

Accha main chalti hoon,
Desi aatmiyata pak rahee hogi ghar mein, kha ke jaana
Amreeka mein tumhara green card bakayaa hai
Par desh ne to tumhe ab bhee apnaaya hai..

Brashtachaar hataaana zarooree hai
Par desh ko gair banana kaun see majbooree hai?
Obama to gandheevaad ke kisse suna gayaa
Par tumne to poore desh ko hee laat maar diya

Desi biwi aur desi naukri pasand hai
Par yahan kee raftaar se anbani hai?
Kabhee socha hai tumhari shaksiyat kya hai?
Desh ke bina tumharee haisiyat kya hai?

Dost ho! Socha tha kuch boloon naheen,
Par kya karoon desh se doghlapan kaise sahoon?

No comments: